Kya aapne asset allocation kiya?

 

Kya aap jante he ki investment me asset allocation sabse jaroori he?, or kya aap jante he ki asset allocation hota kya he? agar nahi to ye blog dhyan se padhiyega.

World ki best book Financial analysts journal k hisab se investment me 91.5% weightage sirf asset allocation ko diya gaya he, yane ki asset allocation investment ki dhadkan he. Ab aap sochenge ki asset allocation hota kya he or allocation kaise kare, to asset allocation k liye pehle apni wealth ka investment kaunse kaunse assets me he wo pehle check kare.

Investments kaunse se assets me he ye dekhne k baad uska percentage nikale or pehle ye dekhe k kisi b assets me aapka weightage jyada to nahi he?, agar he to b koi problem nahi he par fir ye gaur kare k uss overweight asset me itna dum he k wo aapko best returns de paye. Or ek baat dhyaan rakhe ki jab aap investment kare tab aapka investment uss assets me sabse jyaada hona chahiye jisme ki next 5/10 saal me badi teji dikh rahi ho.

Aap investment kisi b teji se pehle agar aap allocation kar sake to usse behter returns aapko kahi bhi nahi milega, ye sab thoda complicated lagega qki asset allocation har kisi k bas ki baat nahi. Investments or investment decisions me aap ek financial advisor ko saath rakh k chale wohi behter he par ye blog iss liye likha he k aapko asset allocation k bare me poori jankari prapt ho.

 

Agar aapko ye blog pasand aaya ho ya aapko useful lage to jaroor se aapke comments message box me likhe, humare blogs me agar aapke kuch sujaav he to bhi hume likhe taki hum sabko best knowledge provide kar sake. KFS

Leave a Reply